tu bhali baat se hi meri KHafa hota hai
aah kya chahna aisa hi bura hota hai
tere abru se mera dil na chhuTega hargiz
gosht naKHun se bhala koi juda hota hai
main samajhta hun tujhe KHub tarah ai ayyar
tere is makr ke iKHlas se kya hota hai
hai kaf-e-KHak meri bas-ki tab-e-ishq se garm
panw wan jis ka paDe aabla-pa hota hai
dil mera hath se jata hai karun kya tadbir
yar muddat ka mera hae juda hota hai
rahbar manzil-e-maqsud ko darkar nahin
shauq-e-dil apna hi yan rah-numa hota hai
ghair harjai mera yar liye jata hai
mujh pe 'taban' ye sitam aaj baDa hota hai
Ghazal
Tu bhali baat se hi meri KHafa hota hai
Taban Abdul Hai