اردو हिंदी
Tu apne pindar ki KHabar le ki ruKH hawa ka badal raha hai | Shaahi Shayari
tu apne pindar ki KHabar le ki ruKH hawa ka badal raha hai

Ghazal

Tu apne pindar ki KHabar le ki ruKH hawa ka badal raha hai

Moghisuddin Fareedi

;

tu apne pindar ki KHabar le ki ruKH hawa ka badal raha hai
teri nazar se bahakne wala fareb kha kar sambhal raha hai

yahi hai dastur-e-shahr-e-hasti ki jo naya hai wahi purana
hayat angDai le rahi hai zamana karwaT badal raha hai

rah-e-talab mein junun ne akasr shuur ko aaina dikhaya
jise tha uzr-e-shikasta-pai wo ab sitaron pe chal raha hai

hamein ye tane na do ki hum ne zamana-sazi ke gur na sikhe
ki rafta rafta mizaj-e-duniya hamare sanche mein Dhal raha hai

teri adaon ki sadgi mein kisi ko mahsus bhi na hoga
abhi qayamat ka ek karishma haya ke daman mein pal raha hai

kisi mein himmat na thi ki baDh kar junun ki zanjir tham leta
KHirad ki basti mein hai andhera charagh sahra mein jal raha hai

hazar shewe the guftugu ke hazar andaz the suKHan ke
magar ba-ima-e-dil 'faridi' fida-e-rang-e-ghazal raha hai