tu agar dil-nawaz ho jae
soz ham-rang-e-saz ho jae
dil jo aagah-e-raaz ho jae
har haqiqat majaz ho jae
lazzat-e-gham ka ye taqaza hai
muddat-e-gham daraaz ho jae
naghma-e-ishq chheDta hun main
zindagi nai-nawaz ho jae
us ki bigDi bane na kyun ai ishq
jis ka tu karsaz ho jae
husn maghrur hai magar tauba
ishq agar be-niyaz ho jae
dard ka phir maza hai jab 'aKHtar'
dard KHud chaarasaz ho jae
Ghazal
Tu agar dil-nawaz ho jae
Aleem Akhtar