tumhein pane ki haisiyyat nahin hai
magar khone ki bhi himmat nahin hai
bahut socha bahut socha hai main ne
judai ke siwa surat nahin hai
tumhein roka to ja sakta hai lekin
mere aasab mein quwwat nahin hai
mere ashko mere be-kar ashko!!
tumhaari ab use hajat nahin hai
abhi tum ghar se bahar mat nikalna
tumhaari hosh ki haalat nahin hai
dua kya dun bhala jate hue main
tumhein takne se hi fursat nahin hai
mohabbat kam na hogi yaad rakhna!!
ye baDhti hai, ki ye daulat nahin hai
zamane ab tere madd-e-muqabil
koi kamzor si aurat nahin hai
Ghazal
Tumhein pane ki haisiyyat nahin hai
Fariha Naqvi