اردو हिंदी
Tumhein bataun ki kis mashghale se aai hai | Shaahi Shayari
tumhein bataun ki kis mashghale se aai hai

Ghazal

Tumhein bataun ki kis mashghale se aai hai

Kamran Ghani Saba

;

tumhein bataun ki kis mashghale se aai hai
meri nazar mein chamak ratjage se aai hai

KHayal jaise hi aaya zara sa dam le lun
to ek sada-e-jaras qafile se aai hai

chamak rahi hai jabin naqsh-e-pa ki barakat se
wo bil-yaqin tere raste se aai hai

ye kya ajab hai ki mujh ko hi kuchh nahin malum
jo meri baat tere waste se aai hai

tum apne jism ki KHushbu sambhaal kar rakhna
ye bahki bahki sada aaine se aai hai

bas itni zid thi musalla bichha ke pina hai
palaT ke meri ana mai-kade se aai hai

jise bhulae zamana guzar chuka tha 'saba'
usi ki yaad baDe walwale se aai hai