tumhaare shahr mein itne makan gire kaise
mere aziz Thikane dhuan hue kaise
main shahr-e-jabr se guzra to suraKH-ru ho kar
unhen ye fikr lahu ka nishan miTe kaise
suna raha hun kahani hazar raaton ki
ki shahzade ke sar se sinan haTe kaise
hisab KHub rakha tum ne apni lagat ka
mere nisab mein sud-o-ziyan chale kaise
har ek shaKHs tumhaari tarah nahin hota
koi kisi se mohabbat kahan kare kaise
jahan bhi sham hui ghar bana liya apna
makan bahut the magar be-makan rahe kaise
'anis' tum to bahut tez chaal chalte the
zara hamein bhi batao miyan gire kaise
Ghazal
Tumhaare shahr mein itne makan gire kaise
Anees Ansari