tumhaare pas rahen hum to maut bhi kya hai
magar jo dur kaTe tum se zindagi kya hai
jab uTh ke chal diye tum tirgi umaD aai
jo tum na ho to charaghon ki raushni kya hai
kuchh aise phul bhi guzre hain meri nazron se
jo khil ke bhi na samajh pae zindagi kya hai
bas un ki yaad ke hum panw chum lete hain
hamein KHabar nahin meraj-e-bandagi kya hai
kabhi jo gosh-bar-awaz ho ke us ko suno
tumhein pata bhi chale saz-e-KHamushi kya hai
meri nigah ne kya kya na KHwab dekhe hain
teri nigah ne ek baat si kahi kya hai
hamin ne zulmat-e-hasti mein dil jalae hain
ye hum samajhte hain darman-e-tirgi kya hai
ubhar rahi hai jo rah rah ke dil ki dhaDkan mein
wo aarzu hai ki hai us ki bebasi kya hai
KHizan-nasib hon nazren jo ahl-e-gulshan ki
to phir bahaar ke jalwon ki tazgi kya hai
jahan mein ye kabhi majbur hai kabhi muKHtar
hai ek shoabada 'azad' aadmi kya hai
Ghazal
Tumhaare pas rahen hum to maut bhi kya hai
Azad Gulati