tumhaare ishq mein kis kis tarah KHarab hue
raha na aalam-e-hijran na wasl-yab hue
bas itni baat thi do din kabhi na mil paen
kahin pe tapte hue thal kahin chanab hue
ajab saza hai ki mere duaon wale huruf
na mustarad hue ab tak na mustajab hue
zihanaten thin teri ya anaDi-pan apna
sawal wasl se pahle hi la-jawab hue
haqiqat itni hai us ke mere talluq ki
kisi ke dukh the mere nam intisab hue
jise samajhte the sahra wo ek samundar tha
khila wo shaKHs to hum kaise aab aab hue
na aaya Dhang hamein koi ishq ka 'haidar'
na dil ke zaKHmon ke hum se kabhi hisab hue
Ghazal
Tumhaare ishq mein kis kis tarah KHarab hue
Haidar Qureshi