tum ye samajh rahe the nishane pe aa gaya
main ghum-phir ke apne Thikane pe aa gaya
darban se ulajhne ka ye faeda hua
bahar wo mere shor machane pe aa gaya
tarif us ke kaam ki mahngi paDi mujhe
wo shaKHs apne dam baDhane pe aa gaya
taswir us ki ghar mein lagane ki der thi
malik-makan mujh ko uThane pe aa gaya
phir yun hua ki pyas hi 'mahbub' mar gai
jis waqt main kuen ke dahane pe aa gaya

Ghazal
Tum ye samajh rahe the nishane pe aa gaya
Khalid Mahboob