tum se chhuT kar zindagi ka naqsh-e-pa milta nahin
phir raha hun ku-ba-ku apna pata milta nahin
main hun ya phirta hai koi aur mere bhes mein
kis se puchhun koi surat-ashna milta nahin
naqsh-e-hairat hi na tha pursan-e-haal-e-gham bhi tha
tum ne jo toDa hai ab wo aaina milta nahin
na-umidi harf-e-tohmat hi sahi kya kijiye
tum qarib aate nahin ho aur KHuda milta nahin
us ke dil se apna andaz-e-taghaful puchhiye
jis ke dil ko dard ka bhi aasra milta nahin
ek na ek rishta isi duniya se tha apna kabhi
sochta hun aur koi silsila milta nahin
koi sae ki tarah chalta hai 'aKHtar' sath sath
dostdar-e-dil hai lekin barmala milta nahin
Ghazal
Tum se chhuT kar zindagi ka naqsh-e-pa milta nahin
Akhtar Saeed Khan