tum ne puchha nahin kabhi hum ko
tum se ummid ye na thi hum ko
rote dekha mujhe to farmaya
aa na jae kahin hansi hum ko
jis nazar se ki chahte the hum
tum ne dekha nahin kabhi hum ko
hae kahna kisi ka jate hue
kijiye ruKHsat hansi KHushi hum ko
o jawanon ki jaan hum se hijab
yaad hai teri kam-sini hum ko
hae kya bhole-pan se kahte hain
ghurti kyun hai aarsi hum ko
muddaton mein huzur-e-yar 'sharaf'
aaj lai hai be-KHudi hum ko

Ghazal
Tumne puchha nahin kabhi hum ko
Sharaf Mujaddidi