tum ne kaha tha chup rahna so chup ne bhi kya kaam kiya
chup rahne ki aadat ne kuchh aur hamein badnam kiya
farzanon ki tang-dili farzanon tak mahdud rahi
diwanon ne farzanon tak rasm-e-junun ko aam kiya
kunj-e-chaman mein aas lagae chup baiThe hain jis din se
hum ne saba ke hath rawana un ko ek paigham kiya
hum ne batao kis tapte suraj ki dhup se mani haar
hum ne kis diwar-e-chaman ke sae mein aaram kiya
'sahba' kaun shikari the tum wahshat-kesh ghazalon ke
matwali aankhon ko tum ne aaKHir kaisa ram kiya
Ghazal
Tumne kaha tha chup rahna so chup ne bhi kya kaam kiya
Sahba Akhtar