tum ne ji bhar ke satane ki qasam khai hai
main ne aansu na bahane ki qasam khai hai
baghbanon ne ye ehsas hua hai mujh ko
aashiyanon ko jalane ki qasam khai hai
inqilabaat ke shoale bhi kahin bujhte hain
aap ne aag bujhane ki qasam khai hai
Dar yahi hai ki kahin KHud se na dhoka kha jae
jis ne dhoke mein na aane ki qasam khai hai
tujh pe marta hun tere sar ki qasam khata hun
ghair ne aaj Thikane ki qasam khai hai
saf zahir hai ki ab raaz nahin rah sakta
raaz-daron ne chhupane ki qasam khai hai
'shad' sahib ki tarah main ne 'muzaffar'-hanafi
tanz par san chaDhane ki qasam khai hai

Ghazal
Tumne ji bhar ke satane ki qasam khai hai
Muzaffar Hanfi