tum na ghabrao mere zaKHm-e-jigar ko dekh kar
main na mar jaun tumhaari chashm-e-tar ko dekh kar
zaKHm taza kar raha hun chaaragar ko dekh kar
rasta main ne badal Dala KHizar ko dekh kar
zindagani ek fareb-e-daimi hai sar-ba-sar
mujh pe ye zahir hua sham-o-sahar ko dekh kar
garche un se koi ummid-e-wafa mujh ko nahin
ji bahal jata hai phir bhi nama-bar ko dekh kar
aaj insan se hai insan barsar-e-paikar yun
al-aman shaitan paDhe KHu-e-bashar ko dekh kar
aadmi mein aadamiyat ka nishan baqi nahin
bech Dala is ne iman sim-o-zar ko dekh kar
aasman tak to hum ai 'rifat' rahe garm-e-KHiram
us se aage chal na pae rahbar ko dekh kar

Ghazal
Tum na ghabrao mere zaKHm-e-jigar ko dekh kar
Sudarshan Faakhir