tum mere pas raho jism ki garmi baKHsho
sard hai raat bahut ghar se na bahar niklo
dudhiya chandni bistar pe kahan se aai
phir koi chand na nikla ho gali mein dekho
sar pe kab kaun kahan sang-e-malamat mare
parsaon se pare kalba-e-ahzan mein raho
koi bhonra na kahin phul ka ras pi jae
apni madhosh nigahon ke dariche kholo
jaane kis manzil-e-be-nam ki jaanib niklun
apni tanhai se Darta hun mere sath raho
barf ek roz pahaDon ki pighal jaegi
sard-mehri-e-zamana ki shikayat na karo
kitni biti hui sadiyon ki kahani hun 'shamim'
mere chehre ki ye bigDi hui tahrir paDho

Ghazal
Tum mere pas raho jism ki garmi baKHsho
Syed Ahmed Shameem