tum ko ye hai agar yaqin dil mein wo jalwa-gar nahin
DhunDha karo tamam umr milne ka umr-bhar nahin
aae na aae be-KHabar kya tujhe ye KHabar nahin
sans ka e'tibar kya sham hai to sahar nahin
dair ho kaba ho ki dil kis mein wo jalwa-gar nahin
dekh sakun magar use itni meri nazar nahin
kunj-e-qafas mein andalib muztar-o-bekas-o-gharib
kahne ko baal-o-par to hain uDne ko baal-o-par nahin
dil mein bala ka josh hai sar liye sarfarosh hai
jine ka hosh hai kahan marne ka us ko Dar nahin
toD raha hai aaj dam gham mein koi mariz-e-gham
phir bhi hain aap be-KHabar aap ko kuchh KHabar nahin
jaan gae ye mar ke hum mulk-e-adam tha do-qadam
KHatm ho jald jo safar aisa koi safar nahin
parde mein aap baiTh kar rakhte hain har taraf nazar
aur zaban par ye hai shoKH meri nazar nahin
lab pe hai nara-e-alast jhum raha hai koi mast
chhai hai aisi be-KHudi apni use KHabar nahin
uf ye mera nasib-e-bad ja ke bani kahan lahad
sab ki hai rahguzar jahan aap ki rahguzar nahin
baat ye tum ne sach kahi 'bismil' be-hunar sahi
ye bhi hai ek baDa hunar is mein koi hunar nahin
Ghazal
Tumko ye hai agar yaqin dil mein wo jalwa-gar nahin
Bismil Allahabadi