اردو हिंदी
Tum kah rahe ho nile KHala mein rangon ka jal phaila hai | Shaahi Shayari
tum kah rahe ho nile KHala mein rangon ka jal phaila hai

Ghazal

Tum kah rahe ho nile KHala mein rangon ka jal phaila hai

Raees Faraz

;

tum kah rahe ho nile KHala mein rangon ka jal phaila hai
main puchhta hun rangon ke par pani ka rang kaisa hai

mujrim hai dil ki mamuli aahaTon par bhi chaunk uThta hai
kamre mein warna koi nahin ye pagal hawa ka jhonka hai

main saKHt raston par chala hun mere nishan na DhunDo tum
patthar pe KHud hi chal kar batao kya koi naqsh banta hai

kitne shagufta chehron mein log KHud ko chhupae phirte hain
par kya bataun chehron ke par mujh ko dikhai deta hai

tum aaj sari samton mein barf se mera nam likhte ho
tum jaante ho mausam ke sath is barf ko pighalna hai

dhundli udas galiyon mein log sae ki tarah chalte hain
manzar uThao palken sajao sab kuchh to KHwab jaisa hai