tum ghair se milo na milo main to chhoD dun
gar is wafa pe koi kahe bewafa mujhe
sach hai tu bad-guman hai samajhta hai kuchh ka kuchh
bosa na lena tha tere aaine ka mujhe
insaf kar KHarab na phirta main dar-ba-dar
milti jo tere gosha-e-KHatir mein ja mujhe
us but ki main dikhaunga taswir waizo
phir kya kahega dawar-e-roz-e-jaza mujhe
kyun un se waqt-e-qatl kiya shikwa ghair ka
karni thi maghfirat hi ki apni dua mujhe
puchhe jo tujh se koi ki 'taskin' se kyun mila
kah dijo haal dekh ke rahm aa gaya mujhe
Ghazal
Tum ghair se milo na milo main to chhoD dun
Taskeen Dehlavi