اردو हिंदी
Tum apne aap par ehsan kyun nahin karte | Shaahi Shayari
tum apne aap par ehsan kyun nahin karte

Ghazal

Tum apne aap par ehsan kyun nahin karte

Madan Mohan Danish

;

tum apne aap par ehsan kyun nahin karte
kiya hai ishq to elan kyun nahin karte

sajae phirte ho mahfil na jaane kis kis ki
kabhi parindon ko mehman kyun nahin karte

wo dekhte hi nahin jo hai manzaron se alag
kabhi nigah ko hairan kyun nahin karte

purani samton mein chalne ki sab ko aadat hai
nai dishaon ka wo dhyan kyun nahin karte

bas ek charagh ke bujhne se bujh gae 'danish'
tum aandhiyon ko pareshan kyun nahin karte