tum aa gae ho to kyun intizar-e-sham karen
kaho to kyun na abhi se kuchh ehtimam karen
KHulus-o-mehr-o-wafa log kar chuke hain bahut
mere KHayal mein ab aur koi kaam karen
ye KHas-o-am ki be-kar guftugu kab tak
qubul kijiye jo faisla awam karen
har aadmi nahin shaista-e-rumuz-e-suKHan
wo kam-suKHan ho muKHatab to ham-kalam karen
juda hue hain bahut log ek tum bhi sahi
ab itni baat pe kya zindagi haram karen
KHuda agar kabhi kuchh iKHtiyar de hum ko
tu pahle KHak-nashinon ka intizam karen
rah-e-talab mein jo gumnam mar gae 'nasir'
mata-e-dard unhi sathiyon ke nam karen
Ghazal
Tum aa gae ho to kyun intizar-e-sham karen
Nasir Kazmi