tujhe kuchh yaad hai pahla wo aalam ishq-e-pinhan ka
shigaf-e-parda se kya tha ishaara chashm-e-fattan ka
suna hai kab ye chhuTti hai pakaD gosha na daman ka
samajh kajal na phaila saya hai teri hi mizhgan ka
yahan dam khinchna do dopahar mushkil hai ho jata
dhuan ghaTta hai jab sine mein apni aah-e-sozan ka
na ki ghamza ne jalladi na un aankhon ne saffaki
jise kahte hain dil apna wahi qatil hua jaan ka
shigaf-e-sina se az-bas-ki dud-e-dil nikalta hai
siyah ab ja-ba-ja se rang hai apne gareban ka
ye dil hai qatra-e-KHun se bhi kam allah ri jurat
hua hai tispe ru-kash us KHadang andaz mizhgan ka
Ghazal
Tujhe kuchh yaad hai pahla wo aalam ishq-e-pinhan ka
Mamnoon Nizamuddin