tujhe hum yaad har-dam ai sitam ijad karte hain
yunhi apne dil-e-nashad ko hum shad karte hain
basa kar ek duniya aaj ranj-o-yas-o-hirman ki
hum apne dil ke virane ko phir aabaad karte hain
asiri se hamein kuchh ho gai hai aisi unsiyyat
qafas se chhuT kar bhi hum qafas ko yaad karte hain
hamari fitrat-e-mardana ki tafrih hoti hai
karam karte hain hum par aap gar bedar karte hain
Ghazal
Tujhe hum yaad har-dam ai sitam ijad karte hain
Aasi Ramnagri

