اردو हिंदी
Tujhe bhi jaanchte apna bhi imtihan karte | Shaahi Shayari
tujhe bhi jaanchte apna bhi imtihan karte

Ghazal

Tujhe bhi jaanchte apna bhi imtihan karte

Mazhar Imam

;

tujhe bhi jaanchte apna bhi imtihan karte
kahin charagh jalate kahin dhuan karte

kai the jalwa-e-nayab tujh se pahle bhi
kis aasre pe tera naqsh jawedan karte

safina Dub raha tha to kyun na yaad aaya
teri talab tere arman ko baadban karte

mohabbaten bhi teri hain shikayaten bhi teri
yaqin tujh pe na hota to kyun guman karte

hawa thi tez jalate rahe dilon mein charagh
kaTi hai umr lahu apna raegan karte

wo be-jhahat ka safar tha sawad-e-sham na subh
kahan pe rukte kahan yaad-e-raftagan karte

dayar-e-KHwab mein Thahre hisar-e-gul mein rahe
magar ye gham hi raha KHud ko shadman karte