tujh se wabastagi rahegi abhi
dil ko ye bekali rahegi abhi
sar ko diwar hi nahin milti
so ye diwangi rahegi abhi
koi din fursat-e-tamanna hai
koi din sar KHushi rahegi abhi
kasa-e-umr bhar chuka phir bhi
kahin koi kami rahegi abhi
shab wahi hai jamal-e-KHwab wahi
aankh apni lagi rahegi abhi
jis qayamat ki aamad aamad hai
wo qayamat Tali rahegi abhi
hum yaqinan yahan nahin honge
ghaaliban zindagi rahegi abhi
kuchh abhi ranj-e-arzu hai hamein
aankh mein kuchh nami rahegi abhi
tu abhi mubtala-e-duniya nahin
tujh mein ye sadgi rahegi abhi
la-talluq hun us talluq se
aur ye dosti rahegi abhi
ji uchaTta nahin hai lagta nahin
so ye beganagi rahegi abhi
kahin koi charagh jalta hai
kuchh na kuchh raushni rahegi abhi
Ghazal
Tujhse wabastagi rahegi abhi
Abrar Ahmad