tujh se bichhDun to teri zat ka hissa ho jaun
jis se marta hun usi zahr se achchha ho jaun
tum mere sath ho ye sach to nahin hai lekin
main agar jhuT na bolun to akela ho jaun
main teri qaid ko taslim to karta hun magar
ye mere bas mein nahin hai ki parinda ho jaun
aadmi ban ke bhaTakne mein maza aata hai
main ne socha hi nahin tha ki farishta ho jaun
wo to andar ki udasi ne bachaya warna
un ki marzi to yahi thi ki shagufta ho jaun
Ghazal
Tujhse bichhDun to teri zat ka hissa ho jaun
Ahmad Kamal Parwazi