اردو हिंदी
Tujhko pane ke liye KHak-e-tamanna ho jaun | Shaahi Shayari
tujhko pane ke liye KHak-e-tamanna ho jaun

Ghazal

Tujhko pane ke liye KHak-e-tamanna ho jaun

Sultan Akhtar

;

tujh ko pane ke liye KHak-e-tamanna ho jaun
tere qadmon mein bikhar kar tera rasta ho jaun

aur kab tak main karun madh-sarai apni
mujh ko taufiq de ya-rab ki main tera ho jaun

tujh ko koi bhi kabhi mere siwa dekh na pae
aankh mein bhar lun tujhe aur main andha ho jaun

chand lamhon ke liye KHud ko mukammal dekhun
be-irada hi sahi main kabhi yakja ho jaun

fikr-e-uqba na karun tujh mein giraftar rahun
shaeri tere liye main sag-e-duniya ho jaun

ye karishma bhi kisi roz to raushan ho jae
tu meri aarzu mein teri tamanna ho jaun

main ki amboh-e-azizan mein kisi ka bhi nahin
zindagi mujh se lipaT ja ki main tera ho jaun

ye ajab shart hai taslim-o-raza ki 'aKHtar'
KHud ko pahchanna chahun to main andha ho jaun