tujh ko mere qurb mein pa kar jalte hain diwane log
mere tere nam se aksar gaDhte hain afsane log
aaj KHizan ke hath gulistan bech diye hain yaron ne
fasl-e-gul ko yaad karenge dekh ke ye virane log
logon ki tashhir ke Dar se hum ne milna chhoD diya
bhuli-bisri baaten le kar kahte hain afsane log
main ne tujh se pyar kiya tha main ne tujh ko puja tha
ulfat meri dekh na pae ulfat se begane log
in ko pagal kahne walo in ki kuchh tauqir karo
raunaq-e-bazm-e-hasti mein ye duniya ke diwane log
un ko hai kab pyar kisi se jo nafrat ke aadi hain
jaane kis miTTi se bane hain hae ye anjaane log
is duniya mein rah kar hum ne dekha hai 'jaanbaz' yahi
waqt paDe to kar lete hain matlab ke yarane log
Ghazal
Tujhko mere qurb mein pa kar jalte hain diwane log
Satyapal Janbaz