اردو हिंदी
Tujhko kis munh se bewafa kahiye | Shaahi Shayari
tujhko kis munh se bewafa kahiye

Ghazal

Tujhko kis munh se bewafa kahiye

Ashique Akbarabadi

;

tujh ko kis munh se bewafa kahiye
koi puchhe sabab to kya kahiye

hum se kuchh waqt par na ban aai
le gae dil wo muft kya kahiye

mujh ko samjha ke galiyan dije
fiqra fiqra juda juda kahiye

na main aashiq na aap ko kya hun
ghair se apna muddaa kahiye

jaan deta hun kis KHushi se main
aaj to aap marhaba kahiye

aaina main dikha ke kahta hun
aap hi hain ki dusra kahiye

ab na kije mue pe sau durre
ab na aashiq ko ba-wafa kahiye