to yun kaho na dilon ka shikar karna hai
hawa ke sath safar iKHtiyar karna hai
baja ki zaKHm na ginwaenge magar jaanan
wo phul kitne hain jin ka shumar karna hai
ghurur-o-tamkanat-o-jahl se nibha lena
faraaz-e-koh ko goya ghubar karna hai
wo bad-sarisht parinda hai us ka maslak hi
jo pak gae wo samar dagh-dar karna hai
use bhi raat gae be-charagh hona hai
hamein bhi chauk mein kuchh intizar karna hai
wo ek ashk jo mandub dil ka kahlae
wo ek jhil jise aabshaar karna hai

Ghazal
To yun kaho na dilon ka shikar karna hai
Sajjad Babar