اردو हिंदी
To phir wo ishq ye naqd-o-nazar barae-faroKHt | Shaahi Shayari
to phir wo ishq ye naqd-o-nazar barae-faroKHt

Ghazal

To phir wo ishq ye naqd-o-nazar barae-faroKHt

Afzal Khan

;

to phir wo ishq ye naqd-o-nazar barae-faroKHt
suKHan barae-hunar hai hunar barae-faroKHt

ayan kiya hai tera raaz fi-sabilillah
KHabar na thi ki hai ye bhi KHabar barae-faroKHt

main qafile se bichhaD kar bhala kahan jaun
sajae baiTha hun zad-e-safar barae-faroKHt

parinde laD hi paDe jaedad par aaKHir
shajar pe likkha hua hai shajar barae-faroKHt

main pahle kufa gaya is ke baad misr gaya
idhar barae-shahadat udhar barae-faroKHt

zara ye dusra misra durust farmaen
mere makan pe likkha hai ghar barae-faroKHt