titliyan rangon ka mahshar hain kabhi socha na tha
un ko chhune par khula wo raaz jo khulta na tha!
tu wo aaina hai jis ko dekh kar raushan hua
main ne apne-ap ko samjha kahan dekha na tha!
chand ban kar tu mere aangan mein utra hai zarur
nur itna baam-o-dar par aaj tak bikhra na tha!
kaun se aalam mein main ne aaj dekha hai tujhe
tu dhanak ban kar mere dil mein kabhi utra na tha!
saKHt-jaani se mera dil bach gaya warna yahan
kaun sa patthar tha is shishe pe jo barsa na tha!
is jahan-e-rang-o-bu ko main ne samjha tha sarab
ek haqiqat tha ye 'arif' aankh ka dhoka na tha
Ghazal
Titliyan rangon ka mahshar hain kabhi socha na tha
Arif Abdul Mateen