tishnagi baqi rahe diwangi baqi rahe
ranj-o-gham hai is liye ta-ki KHushi baqi rahe
zaKHm agar bhar jaega to bhul jaunga use
ye dua do zaKHm-e-dil ki tazgi baqi rahe
qurbaten bhi duriyon ka ban gain aksar sabab
is liye behtar hai un ki be-ruKHi baqi rahe
Thahr jaana maut hai aur chalte rahna zindagi
zindagi baqi rahe aawargi baqi rahe
raushni hogi to kitne chehre honge be-naqab
kah do ye 'afroz' se ki tirgi baqi rahe
Ghazal
Tishnagi baqi rahe diwangi baqi rahe
Afroz Talib