اردو हिंदी
Tishna-labi ne jab bhi zauq-e-amal diya hai | Shaahi Shayari
tishna-labi ne jab bhi zauq-e-amal diya hai

Ghazal

Tishna-labi ne jab bhi zauq-e-amal diya hai

Malikzada Manzoor Ahmad

;

tishna-labi ne jab bhi zauq-e-amal diya hai
rindon ne mai-kade ka saqi badal diya hai

duniya hai is ki shahid is shahr-e-be-aman ne
jis mein ana samai wo sar kuchal diya hai

khilte rahe hain jo gul baad-e-KHizan ki shah par
dast-e-saba ne baDh kar un ko masal diya hai

sab ne suni hai jis mein asr-e-rawan ki dhaDkan
'manzur' hum ne aisa saz-e-ghazal diya hai