tishna-lab koi jo sar-gashta sarabon mein raha
basta-e-wahm-o-guman bhagta KHwabon mein raha
dil ki aawara-mizaji ka gila kya kije
KHana-barbaad raha KHana-KHarabon mein raha
ek wo harf-e-junun naqsh-gar-e-lauh-o-qalam
ek wo bab-e-KHirad band kitabon mein raha
be-hisi wo hai ki is daur mein jine ka maza
na gunahon mein raha aur na sawabon mein raha
jama karta raha ye sud-o-ziyan ke aadad
umr bhar zehn-e-bashar uljha hisabon mein raha
ab koi aur hi shai wajh-e-nashat-e-dil ho
nashsha-o-kaif-e-sharar ab na sharabon mein raha

Ghazal
Tishna-lab koi jo sar-gashta sarabon mein raha
Sharar Fatehpuri