اردو हिंदी
Teri zulfon ne bal khaya to hota | Shaahi Shayari
teri zulfon ne bal khaya to hota

Ghazal

Teri zulfon ne bal khaya to hota

Haidar Ali Aatish

;

teri zulfon ne bal khaya to hota
zara sumbul ko lahraya to hota

ruKH-e-be-dagh dikhlaya to hota
gul-e-lala ko sharmaya to hota

chalega kabk kya raftar teri
ye andaz-e-qadam paya to hota

kahe jate wo sunte ya na sunte
zaban tak haal-e-dil aaya to hota

samajhta ya na ai 'atish' samajhta
dil-e-muztar ko samjhaya to hota