teri yaad jo mere dil mein hai bas usi ki jalwagari rahi
mera gham bhi taza-ba-taza hai meri shaKH-e-fan bhi hari rahi
main ne apne parda-e-sher mein tujhe is hunar se chhupa liya
ki ghazal kahi to har ek ghazal teri KHushbuon se bhari rahi
yahi zindagi meri zindagi yahi zindagi meri maut hai
teri yaad ban gai ek chhuri jo mere gale pe dhari rahi
tujhe shauq mere kalam se tujhe pyar mere hunar se tha
tujhe apna main na bana saki yahi meri be-hunari rahi
main farefta tere naz par main nisar tere niyaz par
teri har ada mein fareb tha mujhe jis ki be-KHabari rahi
kabhi 'anjum' wo bhi din aa gae ki KHushi ki bazm sajaenge
ye tamanna jo mere dil mein thi wo yunhi dhari ki dhari rahi

Ghazal
Teri yaad jo mere dil mein hai bas usi ki jalwagari rahi
Sufia Anjum Taj