teri talab ne falak pe sab ke safar ka anjam likh diya hai
kisi ko najm-e-sahar kisi ko sitara-e-sham likh diya hai
zaban pe harf-e-malal kyun ho ki hum hain raazi teri raza par
tera karam tu ne aab-o-dana agar tah-e-dam likh diya hai
bacha ke apne liye na rakkha koi gareban ka tar hum ne
junun se jo kuchh bhi hum ne paya wo sab tere nam likh diya hai
nigah bazar par nahin thi wagarna kyun chaara-saz-e-gham ne
mariz ke nusKHa-e-shifa mein KHulus ka jam likh diya hai
ye kis ke KHame ka hai nawishta ki bul-hawas aish kar rahe hain
nasib-e-ahl-e-nazar mein kis ne hujum-e-alam likh diya hai
jahan-e-harf-o-sada mein charcha na kyun ho 'gulzar' KHas tera
tere liye teri KHush-nawai ne shohra-e-am likh diya hai
Ghazal
Teri talab ne falak pe sab ke safar ka anjam likh diya hai
Gulzar Bukhari