teri nigah ke jadu bikharte jate hain
jo zaKHm dil ko mile the wo bharte jate hain
tere baghair wo din bhi guzar gae aaKHir
tere baghair ye din bhi guzarte jate hain
liye chalo mujhe dariya-e-shauq ki maujo
ki ham-safar to mere par utarte jate hain
tamam-umr jahan hanste khelte guzri
ab us gali mein bhi hum Darte Darte jate hain
main KHwahishon ke gharaunde banae jata hun
wo mehnaten meri barbaad karte jate hain
Ghazal
Teri nigah ke jadu bikharte jate hain
Nasir Kazmi