teri nazar ke ishaaron ko dil-kashi baKHshi
nazar-nawaz nazaron ko tazgi baKHshi
KHizan ki zad mein hi ab tak tera gulistan tha
hamin ne aa ke bahaaron ko zindagi baKHshi
chaman ko hum ne hi apne lahu se sincha hai
kali ko hum ne hi ek tarz-e-dil-kashi baKHshi
teri ada bhi ada hai wo ek qayamat ki
ye aur baat hai taron ko dil-kashi baKHshi
hai zoam chaak-e-gireban ko apni qismat par
ki tum ne kyun na majal-e-rafu-gari baKHshi
suna do ahl-e-wafa ko ye falsafa 'qaisar'
junun ne hosh ki duniya ko aagahi baKHshi
Ghazal
Teri nazar ke ishaaron ko dil-kashi baKHshi
Qaisar Nizami