tere nazdik aata ja raha hun
wajud apna miTata ja raha hun
muqaddar aazmata ja raha hun
main tujh se dil lagata ja raha hun
zabani tir khata ja raha hun
main phir bhi muskuraata ja raha hun
tujhe pane ki ek KHwahish mein jaanan
main kitne zaKHm khata ja raha hun
andheron se bahut Darta hun lekin
charaghon ko bujhata ja raha hun
rakhe the rah mein jo doston ne
main sab patthar haTata ja raha hun
laga kar aag apne hi makan mein
main shoalon ko bujhata ja raha hun
azal ki samt se chal kar main 'arif'
abad ki samt jata ja raha hun

Ghazal
Tere nazdik aata ja raha hun
Syed Mohammad Askari Arif