اردو हिंदी
Tere KHayal mein dil aaj sogwar sa hai | Shaahi Shayari
tere KHayal mein dil aaj sogwar sa hai

Ghazal

Tere KHayal mein dil aaj sogwar sa hai

Masud Husain Khan

;

tere KHayal mein dil aaj sogwar sa hai
mujhe guman hai kuchh us ko intizar sa hai

main sada-dil tha ki daman pe un ke ro bhi diya
magar gulon ke dilon mein abhi ghubar sa hai

wo mo'atabar to nahin hai par is ko kya kije
ki us ke wadon pe phir aaj eatibar sa hai

main tujh se ramz-e-mohabbat kahun to kaise kahun
main be-qarar hun aur tujh ko kuchh qarar sa hai

tujhi pe kuchh nahin mauquf ai dil-e-mahrum
jahan bhi dekhiye aalam mein intishaar sa hai

tu hosh-mand kahan ka tha kuchh to kah 'masud'
ye kya hai aaj tujhe dil ye iKHtiyar sa hai