tere jaur-o-jafa ka hum kabhi shikwa nahin karte
mohabbat jis se karte hain use ruswa nahin karte
hamare shewa-e-taslim ki bhi qadr kar tu kuchh
ki fariyaad-o-fughan aah-o-buka nala nahin karte
mohabbat mein bhi hum mear ka kuchh pas rakhte hain
kisi haalat mein bhi KHuddari ka sauda nahin karte
mohabbat karne walon ka alag ek apna mazhab hai
wo rah-e-ishq mein sud-o-ziyan dekha nahin karte
raqibon ko sar-e-mahfil jo bazu mein biThate hain
dil-azari meri karte hain aap achchha nahin karte
hai poshida yahan bhi apni izzat hi ka ek pahlu
kisi se bad-suluki ka teri charcha nahin karte
gawara ehtiyat aisi mohabbat mein hai 'KHushtar' ko
ki us ke nam se mansub sher apna nahin karte
Ghazal
Tere jaur-o-jafa ka hum kabhi shikwa nahin karte
Mansoor Khushtar