tere badan ke nae zawiye banata hua
guzar raha hai koi daere banata hua
yahan sitare ko kya len-den karna tha
jo TuT-phuT gaya rabte banata hua
wafa-parast nahin tha to aur kya tha wo
jo zaKHm zaKHm hua aaine banata hua
main doston ke ek ek imtihan se guzra hun
bikhar gaya hun kai raste banata hua
'salim' TuT na jae kahin bharam apna
nikal paDa hun nae silsile banata hua
Ghazal
Tere badan ke nae zawiye banata hua
Ashraf Saleem