tera tazkira su-ba-su kyun karen hum
mohabbat ko be-abru kyun karen hum
likhi hai muqaddar mein na-kaamyabi
karen to gham-e-arzu kyun karen hum
agar rang-o-bu is chaman ka hai fani
nazar mail-e-rang-o-bu kyun karen hum
hasinon ka pas-e-wafa ghair-mumkin
hasinon se ye aarzu kyun karen hum
adawat hi jab hasil-e-dosti hai
mohabbat ki phir aarzu kyun karen hum
karen kyun tumhaare sitam ki shikayat
mohabbat ko be-abru kyun karen hum
agar 'shad' hum KHud hi khoe hue hain
kisi aur ki justuju kyun karen hum
Ghazal
Tera tazkira su-ba-su kyun karen hum
Naresh Kumar Shad