tera majnun hun sahra ki qasam hai
talab mein hun tamanna ki qasam hai
sarapa naz hai tu ai pari-ru
mujhe tere sarapa ki qasam hai
diya haq husn-e-baala-dast tujkun
mujhe tujh sarw-e-baala ki qasam hai
kiya tujh zulf ne jag kun diwana
teri zulfan ke sauda ki qasam hai
do-rangi tark kar har ek se mat mil
tujhe tujh qadd-e-rana ki qasam hai
kiya tujh ishq ne aalam kun majnun
mujhe tujh rashk-e-laila ki qasam hai
'wali' mushtaq hai teri nigah ka
mujhe tujh chashm-e-shahla ki qasam hai

Ghazal
Tera majnun hun sahra ki qasam hai
Wali Mohammad Wali