اردو हिंदी
Tera KHayal tha lafzon mein Dhal gaya kaise | Shaahi Shayari
tera KHayal tha lafzon mein Dhal gaya kaise

Ghazal

Tera KHayal tha lafzon mein Dhal gaya kaise

Ameer Ahmad Khusro

;

tera KHayal tha lafzon mein Dhal gaya kaise
dilon mein sham-e-ghazal ban ke jal gaya kaise

wo aadmi jo mera dost tha zamane tak
pata nahin ki yakayak badal gaya kaise

bahut hi tez hawa sher-e-hadsat ki thi
main girte girte na jaane sambhal gaya kaise

kahin bhi aag lagane ka waqia na hua
to phir huzur makan mera jal gaya kaise

KHalish se jis ki thi wabasta yaad manzil ki
wo KHar panw se 'KHusraw' nikal gaya kaise