tera dil yar agar mail kare hai
to jaan ab tujh ko sahib dil kare hai
tajalli ko nahin takrar hargiz
yahan takrar ab jahil kare hai
riayat bujh tu mashuq ka jaur
ki tujh ko ishq mein kaamil kare hai
tu kho mat din ko duniya ke pichhe
koi ye kaam bhi aaqil kare hai
baDi dushman teri ghaflat hai har-dam
ki tujh ko maut se ghafil kare hai
koi din ko chale aur qasid-e-umar
ye raat aur din mein do manzil kare hai
kisi ko kaam mein tere nahin dark
abas 'hatim' ko tu shamil kare hai
Ghazal
Tera dil yar agar mail kare hai
Shaikh Zahuruddin Hatim