tera dil to nahin dil ki lagi hun
tere daman pe aansu ki nami hun
main apne shahr mein to ajnabi tha
main apne ghar mein bhi ab ajnabi hun
kahan tak mujh ko suljhate rahoge
bahut uljhi hui si zindagi hun
KHabar jis ki nahin bahar kisi ko
main tah-KHane ki aisi raushni hun
thakan se chur tanha soch mein gum
main pichhli raat ki wo chandni hun
mera ye hashr bhi hona tha ek din
kabhi ek chiKH tha ab KHamushi hun
guzar kar nek-o-bad ki har gali se
sarapa aagahi hun gumrahi hun
mera ye huzniya is daur mein hai
suKHan to hun magar na-guftani hun

Ghazal
Tera dil to nahin dil ki lagi hun
Sulaiman Areeb