tera aasman nawakon ka KHazina hayat-afrina hayat-afrina
hamari zamin lal-o-gul ka dafina hayat-afrina hayat-afrina
hue nam aur nang sab gharq-e-sahba meri mai-gusari ki hogi saza kya
tere nam ka ek jura yahi na hayat-afrina hayat-afrina
tere wada-e-rizq ki hai duhai agar rizq aazuqa-e-ruh bhi hai
to hum to hain mahrum-e-nan-e-shabina hayat-afrina hayat-afrina
na sanson mein josh-e-numu ka talatum na marne ke gham mein gudaz-e-tallum
ye jina bhi hai koi jine mein jina hayat-afrina hayat-afrina
zamin ka kaleja bahut phunk raha hai falak phaT paDe qulzum-e-KHun rawan ho
jabin-e-mashiyyat se Tapke pasina hayat-afrina hayat-afrina
mah-o-mehr-o-anjum falak ke dulare teri mumlikat ke hasin shahzade
hamari zamin kaenati hasina hayat-afrina hayat-afrina
nahin 'aKHtar'-e-zar mayus KHud se ki zulmat bhi chhaTti hai darja-ba-darja
utarti hai rahmat bhi zina-ba-zina hayat-afrina hayat-afrina
Ghazal
Tera aasman nawakon ka KHazina hayat-afrina hayat-afrina
Akhtar Ansari