tilism KHatm chalo aah-e-be-asar ka hua
wo dekho jism barhana har ek shajar ka hua
sunaun kaise ki suraj ki zad mein hain sab log
jo haal raat ko parchhaiyon ke ghar ka hua
sada ke sae mein sannaTon ko panah mili
ajab ki shahr mein charcha na is KHabar ka hua
KHala ki dhund hi aankhon pe mehrban rahi
harif koi ufuq kab meri nazar ka hua
main sochta hun magar yaad kuchh nahin aata
ki iKHtitam kahan KHwab ke safar ka hua
Ghazal
Tilism KHatm chalo aah-e-be-asar ka hua
Shahryar